Khushk Honto Ko Aansu Pila Dia
Wednesday, July 14th, 2010->
Khushk Honto Ko Aansu Pila Dia
Mohabat Ka Karz Tha Jo us Ne Chuka Dia
Maine Kaha Tha Dil Mein Mohabat Ki Roshni Kardo
Us Ne usi Bahane Mera Dil Jala dia
->
Khushk Honto Ko Aansu Pila Dia
Mohabat Ka Karz Tha Jo us Ne Chuka Dia
Maine Kaha Tha Dil Mein Mohabat Ki Roshni Kardo
Us Ne usi Bahane Mera Dil Jala dia
Bheeg jaati hain palkien tanhai main,
Dartey hain koi jaan na le,
Pasand karte hain taiz barsaat ko kahain koi rotey huye pehchan na le.
Logon ne mere gum ka tamasha bana diya,
Mere chaman k saath mera dil bhi jala diya!
Apno ne mere pyaar ka kuch yun sila diya,
Ulfat badley khoon k ansu rula diya.
Har ek Jazbat ko Zuban nahi milti,
Har ek Aarzu ko dua nahi milti,
Muskurahat banaye rakho to duniya hai sath,
aansuo ko to ankho me bhi panah nahi milti
Ab Aansoun Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gaye To Khud Ko Jalaana Hoga
Ye Na Samajhna Ke Tum Se Bichar Ke Khush Hain Hum
Humein Laugon Ki Khaatir Muskurana Hoga
Phir Shaam Dhal Gayi Tum Aayi Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedon Se Behlaana Hoga
Vaada Khilaafi Kar Ke Muskurati Ho Tum
Dekhna Ek Din Sanam Tum Ko Pachtana Hoga
Lahoo Se Apne Kafan Par Tera Naam Likh Jaaoun Ga
Thaam Ke Haath Main Phool Tum Ko Aana Hoga
Tere Intezar Main Ik Umar Guzri Hai Sanam
Ab To Aaa Gaya Hai Waqt Ab To Hum Ko Jaana Hoga..
submitted by apnayaar.com
Aisa saathi chahiye..jo..hume apna maan sake….
Humaare har dukh ko jaan sake…
Chal rahe ho hum tez baarish mei…
Fir b paani mei se aansooo ko pehchaan sake..
Submited by apnayaar.com
sochta ho keya esy neend bi ati hogi
ya meri tara faket ashk bahati hogi
woh meri shakal mera naam bulany wali
apni taswer sy keya aankh melati hogi..
Submited by apnayaar.com
Hanste Huey, Aankhon Mein Kyun Aa Jaate Hain Ye Aansoo
Yoon Khushi Ko Adhoora Sa Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Dard Itna Hai Saha, Khaali Ho Gaya Samandar Ashkon Ka
Jaane Kahan Say Aankhon Mein Bhar Jaate Hain Ye Aansoo
Khush Hoon Main, Koi Shikwa Zamane Say Na Taqdeer Say
Meri Iss Baat Ko Jhoota Kyun Bana Jaate Hain Ye Aansoo
Shayad Khabar Hai Inn Ko Bhi Kis Qadar Tanha Hoon Main
Tanhaai Mein Maira Saath Nibha Jaate Hain Ye Aansoo !!
Submited by apnayaar.com