Archive for the ‘Bewafa poetry’ Category

Tabassum se bhi darr jata hoon faraz

Sunday, July 25th, 2010

Ab tou kaliyon k tabassum se bhi darr jata hoon faraz…!

MusKura ker jo bhi mila woh zakham gehra de gaya..

Main us ko bewafa sa lagta ho

Thursday, May 27th, 2010

Muje muhabat se kuch mila ,
Muje tum sa bhi koi gila nae ,

Meri zindagi to bus uljan si ha ,
Jise kabhi kisi ne suljhaya nae ,

Meri zaat se kisi ko koi takleef ho ,
Main ne to khabi ya chaha nae,

Har ek ne mujh hi ko dard diya,
Mera dard to kisi ne shamjha nae,

Q main raston ko ilzam do Faraz,
Mera hamsafar hi sath chala nae ,

Main us ko bewafa sa lagta ho,
Jise khud wafa ka pata nae….

Mujhay apna pyar na day saka

Monday, June 15th, 2009

Jo na mil saka wo baywafa
yeh bare ajeeb si baat hai

jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak mere saath hai…

Wo roshni kay khayal main
wo na asaka raah mian muntazir

yeh khalish kahan thi visaal main
mere justojoo ko khabar nahi

na wo din rahay na wo raat rahay
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai..
Kary pyar lab pay koi gila na hoo

yeh kissi kissi ka naseeb hai
yeh karam hai uski jafa nahi

wo juda bhi rehkay qareeb hai
wo aankh hai mere ru baru

ussi haath mein mera haath hai
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai
mera nam tak jo na lay saka

jo mujhay qarar na day saka
jissay ikhtiyaar tau tha magar

mujhay apna pyar na day saka
wohi shakhs mere talassh hai

wohi dard mere hayaat hai
jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak meray saath ha

anjaane me hume rula diya

Saturday, June 28th, 2008

Ho sakta hai uss ne anjaane me hume rula diya,

Uss ne duniya ke kehne pe hume bhula diya

Hum to waise bhi akele the,

Kya hua agar kissi ne ehsaas dila diya..

UN KO BEWAFA KEH KER AYE HAIN

Saturday, June 21st, 2008

AAJ HUM UN KO BEWAFA KEH KER AYE HAIN ….

UN KE KHATON KO PAANI MAIN BAHA KER AAYE HAIN..

UN KE KHATON KO KOI PADH NA LE KOI IS LIYE …

PAANI MAIN BHI AAG LAGA KER AAYE HAIN…….

ek phool chuna tha

Friday, May 16th, 2008

Ek dil mere dil ko jakham de gaya,
Zindagi bhar akele jeene ki kasam de gaya,
Laakhon phool se ek phool chuna tha humne,
Jo kaanton se bhi gahra jakham de gaya.

aahistaa chal

Saturday, April 26th, 2008

Dard kii baarish sahii maddham zaraa
Aahistaa chal

Dil kii miTTii hai abhii tak nam zaraa
Aahistaa chal
Tere milane aur phir tere bichhar jaane
Ke biich

Faasalaa rusvaa_ii kaa hai kam zaraa
Aahistaa chal
Apane dil hii men nahi hai us kii
Maharuumii kii yaad

Us kii aankhon men bhi hai shabanam
Zaraa aahistaa chal
Koi bhii ho ham-safar ‘Kabir’ na ho
Khush is qadar

Ab ke logon men wafaa hai kam zaraa
Aahistaa chal..
submitted by apnayaar.com

kil k armaan

Thursday, April 17th, 2008

Sapne saare tod kar beithe hai,
dil ka armaan chod kar beithe hai,
na kijiye humse wafa ki baatein,
abhi-abhi dil ke tukde jod kar beithe hai,
Submited by apnayaar.com

Receive Daily Sms

    Enter your email address:

    Delivered by FeedBurner


Categories