nabaz meri dekh kar
Thursday, April 10th, 2008->
Nabaz meri dekhkar mujhko ishq ka bimar likh diya,
main kyu na jaun qurbaan us hakim ke,
jisne ilaaz main tera dedaar likh diya .
Submited by apnayaar.com
->
Nabaz meri dekhkar mujhko ishq ka bimar likh diya,
main kyu na jaun qurbaan us hakim ke,
jisne ilaaz main tera dedaar likh diya .
Submited by apnayaar.com
Yaad karne ke liye koi cheez chahiye,
Aap nahi to aapki taswir chahiye
per taswir aapki hamaara dil behla na sakegi..
Kyonki yeh aapki tarah muskura na sakegi..
badalate waqat kaa ik silsilaa sa lagata ha
ke jab bhii dekho use duusaraa-saa lagata hai
tumhaaraa husn kisii aadamii kaa husn nahin
kisii buzurg kii sachchii duaa saa lagataa hai
terii nigaah ko tamiiz rang-o-nuur kahaiN
mujhe to Khoun bhii rang-e-hinaa saa lagataa hai
damaaG-o-dil ho.na agar mutmaiin to chhaaon hai ya dhoup
thapdi luu bhii Thandii hawa si lagati hai
vo chahat pe aa gaya betaab ho ke aaKhir
Khudaa bhii aaj shariik-e-duaa saa lagataa hai
tumhaaraa haath jo aayaa hai haath me.n mere
ab aitabaar kaa mausam haraa-saa lagataa hai
nikal ke dekho kabhii nafarato ke pinjare se
tamaam shahar kaa “Manzar” khulaa saa lagataa hai,
Submited by apnayaar.com
Tum na maano magar hakeekat hai,
Ishq insaan kee jaroorat hai,
Uski mehful mein baith kar dekho,
Zindagi kitnee khoobsurat hai.
Submited by apnayaar.com
Aa gaya dil kissipe aana tha
Aapka husn ik bahana tha
Iptada-e-shabab bhi kya thi
Chand taaron me aashiyana tha
Tinke tinke se mil ke roye hum
Jaisa har tinka aashiyana tha
Ab to hai kunj kafas se badhtar
Aap rahte to aashiyana tha
Barq ka shukriya ada kar loon
Kitna be-noor aashiyana tha
Maine ghutkar kafas me dam todaa
Saamne mera aashiyana tha
Barq ko aasmaan se aana pada
Ek chhotasa aashiyana tha
Chand ghadiyaan kuch aisi bhi guzreen
Na kafas tha na aashiyana tha..
Submited by apnayaar.com
TADPA jati hain aksar unki, yeh jhukti hui aankhen,
jab uth-ti hain yeh aankhen, to yahi dua ban jati hain……
yeh unki di hui TADAP-AE-ISHQ hai, ya unki hai dua,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai… unki is chahat me, TADAP-TADAP ke jee rahe hain,
ya unhi ki dua ke asar se, aaj saanse le rahe hain………..
yahi sochte-sochte bas, raat se subah ho jaati hai,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai……………………!
ek to unka haseen chehra, us par kaali zulfon ke pehra,
wo palkon ki chilman aur aankhon ka kaajal gehra………
ek nazar bhar jo dekh le, to kayamat ho jaati hai,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai……………………!
wo sharm-o-naadani se unka, apni nazren churaana,
wo aanchal ko daaton me daba kar yun muskuraana……
yahi andaaz-o-ada to unki, tadapne pe majboor kar jati hai,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai……………………!
JO RAATON KO JAGNE KI VAZAH BAN JAATI HAI…………!!!!!!!!!!
Submited by apnayaar.com
Kash khudane hame ek kitab banaya hota,
Use padhne ke liye sirf aapko banaya hota,
Aap adhte padhte so jate,
Isi bahane hame gale to lagaya hota…
Submited by apnayaar.com
TADPA jati hain aksar unki, yeh jhukti hui aankhen,
jab uth-ti hain yeh aankhen, to yahi dua ban jati hain……
yeh unki di hui TADAP-AE-ISHQ hai, ya unki hai dua,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai……………………! unki is chahat me, TADAP-TADAP ke jee rahe hain,