Tum jis chaand ko dekhthe ho
Mein uss chaand ko dekh kar tumhein apni bahoon ke darmiyaan paata hun
Tum kya jaano tum kya ho
Jo aftaab tumhein dekh kar uthta hai
Mein ussey tumhari aankhon ki roshni mein dekhta hun
Tum kya jaano tum kya ho
Jo baharein tumhari khushboo se chith jaati hai
Unn kaliyon ko tumharey kadmon ke peechey rukhsat hote dekhta hun
Tum kya jaano tum kya ho
Meine kismat ko nahi maana tha
Per kismat ne tumhe kaisey dhokha diya
Tum kya jaano tum kya ho
Jo pehchaan hum aapki kar saktey hain
Woh aapka aaina bayaan nahi kar sakta
Tum kya jaano tum kya ho
Abh tum hi batao
K agar mein na rahun tu tum kya ho …