Muhabat se milo chahe Brbaad kr Do
Friday, February 12th, 2010->
Bs ek he tmana rkhta hun me apne dil me ay jan e wafa .
Muhabat se milo chahe Brbaad kr Do.
->
Bs ek he tmana rkhta hun me apne dil me ay jan e wafa .
Muhabat se milo chahe Brbaad kr Do.
ISHQ wahi hai jo ho ektarfa,
IZHAR -e- ishq to khwahish ban jaati hai,
HAI agar ishq to aankho mein dekho,
ZUBAN kholne se ye numaish ban jaati hai..
Submited By:
khuram
wo thi he itni haseen k us pe pyar boht aata tha
sirf main nahin dunya ko bhi us pe pyar aata tha
main jo us ki andaz-e-guftago ka deewana tha
ooron ko bhi us ki awaz k jado k pata tha
faqt us ki hansi sunnay k liay betab ho jata tha
ooron ne bhi is raz ko bata kr usay magroor krdiya tha
meray andaz-e-mohabbat par us ko shak ho gya tha
ooron k pyar main havis tha ye us ko bhi pata tha
shetanon ki is bheer main us nay mujhay bhi shamil krdiya tha
par shakil tum ne sacha pyar samjhanay k liay khud ko rula dala tha
ab bhi khuch likhtay waqt dara dara sa rahta hoon
ye us ka pyar hay phir bhi boht khuch likh jata hoon
Submitted By:
SHAKIL AHMED
shakilamed_2004@hotmail.com
Kash banane wale ne mjhe kitab bnaya hota.
Woh parhty parhty so jati mujhy seenay say lagaya hota,
Main ous k gum main rota or rota he jata.
Os nay chupky say mujhy senay say lgaya hota.
Os ko dastaan suna suna k thak sa giya.
Kash uss nay b mujhy hal-a-dil sunya hota.
Main oss ka naam leta or subho sham leta tha.
Hay afsos os ny mujhy 1 bar bolaya hota.
Main oss ki khatr trpta rha sham o sehar ~Mohsin~
Arman na hota gar os ny 1 anso he bhaya hota.
tu kisi aur ke leye hoga samander-e-ishq faraz
main tu tere sahil se roz payasa guzar jata hon
pal pal intazar keya us pal k leya,
woo pal aaya be tha ek pal k leya,
ab phir say tamanna hai,
us pal k leya,
ke kash ah jayee woo paal ek pal k leya.
Mohbton men shumar kaisa
Yaqeen kaisa
Gumaan kaisa
Orooj kaisa
Ziwal kaisa
Swaal kaisa
Jwaab kaisa
Mohabten to mohabten hain
Mohabton men hisaab kaisa..!
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi,
Jab chand sitare chamak rahe hon,
Jab yadon k phool mehek rahe hon,
Jab deed ko nain taras rahe hon,
jab ankhon se ansu baras rahe hon,
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi
Jab tanhai se dil ghabrae ga,
Jub tumhein akela pan sataye ga,
Jab koi khuab he na aye ga,
Jab phool kitab mein he reh jayenge,
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi