Archive for the ‘Mohabbat poetry’ Category

Mohabbat phool hai Jana

Tuesday, June 1st, 2010

Mohabbat phool hai Jana
Kaho to ohool Ban Jaon
tUmhari Zindagi ka 1
Haseen Asool Ban Jaon
Suna hai rait pe chal k
tum aksar Mehak jaty hain
kaho to abb k bar men
zameen ki dhool ban jaon
bohut nayab hote hen,
jinhy tum apna kehte ho,
Ijazat do k men Bhi,
Is qadr anmol ban jaoon.

Mera Naam to Lia hota

Thursday, May 27th, 2010

Yeh Aarzu thi k aisa bhi kuch huwa hota,
Meri Kami nay , Tujhey bhi Rula dia hota,
Main Laut Aata Teri Simt Ek Lamhain main,
Tere Labon nay Mera Naam to Lia hota.
Submitted By:
Sadia

Muhabat se milo chahe Brbaad kr Do

Friday, February 12th, 2010

Bs ek he tmana rkhta hun me apne dil me ay jan e wafa .

Muhabat se milo chahe Brbaad kr Do.

IZHAR -e- ishq

Monday, February 1st, 2010

ISHQ wahi hai jo ho ektarfa,
IZHAR -e- ishq to khwahish ban jaati hai,
HAI agar ishq to aankho mein dekho,
ZUBAN kholne se ye numaish ban jaati hai..
Submited By:
khuram

wo thi he itni haseen k us pe pyar boht aata tha

Thursday, January 21st, 2010

wo thi he itni haseen k us pe pyar boht aata tha
sirf main nahin dunya ko bhi us pe pyar aata tha

main jo us ki andaz-e-guftago ka deewana tha
ooron ko bhi us ki awaz k jado k pata tha

faqt us ki hansi sunnay k liay betab ho jata tha
ooron ne bhi is raz ko bata kr usay magroor krdiya tha

meray andaz-e-mohabbat par us ko shak ho gya tha
ooron k pyar main havis tha ye us ko bhi pata tha

shetanon ki is bheer main us nay mujhay bhi shamil krdiya tha
par shakil tum ne sacha pyar samjhanay k liay khud ko rula dala tha

ab bhi khuch likhtay waqt dara dara sa rahta hoon
ye us ka pyar hay phir bhi boht khuch likh jata hoon
Submitted By:
SHAKIL AHMED
shakilamed_2004@hotmail.com

Kash uss nay b mujhy hal-a-dil sunya hota.

Sunday, January 17th, 2010

Kash banane wale ne mjhe kitab bnaya hota.
Woh parhty parhty so jati mujhy seenay say lagaya hota,

Main ous k gum main rota or rota he jata.
Os nay chupky say mujhy senay say lgaya hota.

Os ko dastaan suna suna k thak sa giya.
Kash uss nay b mujhy hal-a-dil sunya hota.

Main oss ka naam leta or subho sham leta tha.
Hay afsos os ny mujhy 1 bar bolaya hota.

Main oss ki khatr trpta rha sham o sehar ~Mohsin~
Arman na hota gar os ny 1 anso he bhaya hota.

samander-e-ishq

Saturday, October 3rd, 2009

tu kisi aur ke leye hoga samander-e-ishq faraz
main tu tere sahil se roz payasa guzar jata hon

pal pal intazar keya

Saturday, July 25th, 2009

pal pal intazar keya us pal k leya,

woo pal aaya be tha ek pal k leya,

ab phir say tamanna hai,

us pal k leya,

ke kash ah jayee woo paal ek pal k leya.

Receive Daily Sms

    Enter your email address:

    Delivered by FeedBurner


Categories