zindagi main kuch sapne
Thursday, April 10th, 2008->
Zindagi mein kuch sapne saja lena,
Agar waqt mile to kuch armaan jaga lena,
Hum aap ki raahon se sab Dard chupa leinge,
Jab chahe aazmaa lena.
Submited by apnayaar.com
->
Zindagi mein kuch sapne saja lena,
Agar waqt mile to kuch armaan jaga lena,
Hum aap ki raahon se sab Dard chupa leinge,
Jab chahe aazmaa lena.
Submited by apnayaar.com
Bohot kuch badal jata hai
Tere aane ke baad,
Bohot kuch bichar jata hai
Tere jaane ke baad,
Wo samandar ki leherey,
Wo rait ke mehal,
Bohot kuch beh jata hai
Saahil se takra jaane ke baad,
Wo baarish ke moti,
Wo taaro ki khuwahish,
Bohot kuch bikhar jata hai
Khuwaab toot jaane ke baad,
Wo teri parchaiyon se takrana,
Wo saayon ka lehrana
Bohot kuch mit jata hai andhera chhaa jaane ke baad
Kal Raat Bazam Mein jo Milla Gulbadan Saa Tha
Khushboo Say Uss kay Lafaz Thai Chehra Chaman Sa Tha
Daikha Ussay Tu Bool Paray Uss Kay Khud o Khaal
Poocha Ussay Tu Chup sa raha, Kam Sukhan Sa tha
Tunhaiyoon Kee Rutt Mein Bhi Lag’ta Tha Mut’mayeen
WOh Shakhas Apni Zaat Mein Ik Anjuman Sa Tha
SOocha Ussay Tu Mein Kaiee Rungoon mein Khoo Gaya
Alam Tamaam Uss Kay Haseen Payr’han Saa Tha
Jo Shaakh Shaakh Thee woh Ussi Kay Laboon See Thi
Jo Phool Khil Gaya Tha Woh Ussi Kay Dehan Saa Tha
Woh Sadgi Pehan Kay Bhi Dil Mein Utar Gaya
Uss Ke Har Ik Ada Mein Ajab Bhoolpan Saa Tha
Asaan Samajh Rahay Thai Ussay Shehar e Jaan Kay Loug
Mushkil Tha Iss Qadar Kay Mairay Apnay Fun Sa Tha
Woh Guftagoo Thee Uss Ke, Ussi Kay Liyeah Hee Thee!
Kehnay Ko Youn Tu Mein Bhi Shareek e Sukhan saa Thai
Taray Thai Chandini mein Keh Tuhmat Kay Daagh Thai
Mohsin Kal Asmaan Bhi Mairay Kafaan Sa Tha,,
Submited by apnayaar.com
waqt ke dariya ke hawale na karo mujhe
apne aagosh me chupalo mujhe…
girte rahe hum kadam kadam par
deke apne bahon ka sahara sambhalo mujhe…
teri har yaad judi hai meri sanso k sang
tera ehasaas kahi na maar dale mujhe…
kismat ki lakeeron se churalo mujhe..
tham lo hath aur apnalo mujhe…
Submited by apnayaar.com
Udas udas rehte hain teray janay k baad,
khud ko dhundtay rehtay hain teray jane k baad,
Ik ajab si khushi hasal hoti hai hamein , Ik teray ane say pehle Ik teray jane k baad.
Submited by apnayaar.com
Ab ka baras kuch aisa krna.
apney pachley 12 mah ka dukh sukh ka andaza krna.
sarèy dost akhtey krna.bohley bataen taza krna.
sada sa 1 kachaz le kr.pachley bataen taza krna.
ager khushyan bhar jayn tu thaik.ur ghum bhar jayn tu mat taklauf krna.
dekho phir tm aisa krna.merey khushyn tm la lena ur apney ghum mujhey de dena.
ab ka baras kuch aisa krna.
Submited by apnayaar.com
khamosh raaho mien tera saath chahiye
tanha hai mera hath,tera haath chahiye
mujhko mere muqadar per itna yakeen too hai
tujhko bhi mere lafz, meri baat chahiye
mien khud apni shairi ko kiya acha kehta
mujhko teri tareef, teri daad chahiye
ehsaas-e-mohabbat tere waste hai lakin
junoon-e-ishk ko teri soghat chahiye
tu mujhko paane ki khuhaish rakhti ho lakin
jeene ke liye teri mulaakat chahiye!!!!
Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey
bahoun mein apni sama lou mujhey
Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey
Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey
Meri sab say gehri khuwahish hou puri
Tum agar pass apnay bula lou mujhey
Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey
Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey
Submited by apnayaar.com