Dar hai ki kahin phir se pyar na ho jaaye

Baat kuch bhi nahi aor bahoot kuch ho bhi gaya
Kahin raai ka phir se pahard na ho jaaye

Judai kaha kaha naseeb main nahi aaii
Chalo ajj yah khuda se hi sawal ho jaaye

Mehfil mai jab bhi pucha kisi ne humse sawal
Yahi kaha ki dar hai ki kahin phir se yah dil na kho jaaye

Humare rone per hazaro jhoothe hath uthate hai
Kahin unko dekh kar tera hath na ajj ruk jaaye

Sochane se kabhi koi juda hota nahi
Hatho se hath chahe kitna juda ho jaaye

Marham kon lagaye ab yaha kisko
Jab Dard apna hi nasoor ho jaaye

Bhwanao mai beh kar kuch bhi likh de e dost
Dua yahi meri her zameen, teri hi ho jaaye

Dunia karati rahe apne kaam, kis ne suna usko
Dekhna kahin tu bhi duniadaari wala na ho jaaye

Jhuka kar najar kyun mujhko najar se hataya hai
Najar kabhi jhukati nahi dosto mai kuch bhi ho jaaye…
Submited by apnayaar.com