TADPA jati hain aksar unki, yeh jhukti hui aankhen,
jab uth-ti hain yeh aankhen, to yahi dua ban jati hain……
yeh unki di hui TADAP-AE-ISHQ hai, ya unki hai dua,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai……………………! unki is chahat me, TADAP-TADAP ke jee rahe hain,
ya unhi ki dua ke asar se, aaj saanse le rahe hain………..
yahi sochte-sochte bas, raat se subah ho jaati hai,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai……………………!

ek to unka haseen chehra, us par kaali zulfon ke pehra,
wo palkon ki chilman aur aankhon ka kaajal gehra………
ek nazar bhar jo dekh le, to kayamat ho jaati hai,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai……………………!

wo sharm-o-naadani se unka, apni nazren churaana,
wo aanchal ko daaton me daba kar yun muskuraana……
yahi andaaz-o-ada to unki, tadapne pe majboor kar jati hai,
jo raaton ko jagne ki vazah ban jaati hai……………………!

JO RAATON KO JAGNE KI VAZAH BAN JAATI HAI…………!!!!!!!!!!
Submited by apnayaar.com