badalate waqat kaa ik silsilaa sa lagata ha
ke jab bhii dekho use duusaraa-saa lagata hai

tumhaaraa husn kisii aadamii kaa husn nahin
kisii buzurg kii sachchii duaa saa lagataa hai

terii nigaah ko tamiiz rang-o-nuur kahaiN
mujhe to Khoun bhii rang-e-hinaa saa lagataa hai

damaaG-o-dil ho.na agar mutmaiin to chhaaon hai ya dhoup
thapdi luu bhii Thandii hawa si lagati hai

vo chahat pe aa gaya betaab ho ke aaKhir
Khudaa bhii aaj shariik-e-duaa saa lagataa hai

tumhaaraa haath jo aayaa hai haath me.n mere
ab aitabaar kaa mausam haraa-saa lagataa hai

nikal ke dekho kabhii nafarato ke pinjare se
tamaam shahar kaa “Manzar” khulaa saa lagataa hai,
Submited by apnayaar.com