kitni aziyat se us ne mujhko bhulaya ho gha

meri yadon ne usey khoob rulaya ho gha

bat pe bat ankh us ki b chalki ho ghi

us ne chehre ko baazuon mein chupaya ho gha

socha ho gha us ne din mein kai bar mujhe

nam hatheli par b likh likh k mitaya ho gha

jhan us ne mera zikar suna ho gha kisi se

us ki ankhon mein koi ansoo to aya ho gha