bohat dino se nahi apne darmiyan wo shakhs

udas kar k chal diya jane kahan wo shakhs

qareeb tha to kha hum ne bewafa bhi usey

howa jo door to lagta hai jan-e-jaan wo shakhs

us ek shakhs mein thin dil rubaiyan kia kia

hazaron log milein gae par kahan wo shakhs

chupa lia hai jise patjhar k zard patton ne

abhi talak hai baharon pe hukmaran wo shakhs